Muhammad Shaikh v/s Ghamidi Followers

Duniya ke har muashray mein mukhtalif nazriaat ke haamil log ya giroh mojood hotay hain jin ki koshish yeh hoti hai ke jis nazriye aur aqeday par woh imaan rakhtay hain usay sahih saabit karte hue doosron ko qaail kya ja sakay. is silsilay ko jari rakhnay ke liye duniya ke sahib ilm logon ne kuch usoolon par mabni aik tareeqa waza kya sun-hwa hai jisay manazra ya mobahisa kehte hain.

Is manazra mein do surkha mukhalif fareeqon se aik mauzo par apne apne dalail ke sath guftagu karte hain aur apne un nazriaat aur khayalat ki taied ke liye misalein aur shawahid bhi istemaal karte hain, isi riwayat ko barqarar rakhtay hue aik aur mubahisa paish khidmat hai jo Muhammad Shaikh aur Javed Ahmed Ghamidi ke pirokaron ke darmiyan 2019 mein Toronto canada mein ye mubahisa huva bunyadi tor par quran ki ayaat par mabni hai jis ka mauzo yeh hai ke kis terhan Allah ki aik hi kitaab har zamane mein insanon ki hadaayat ke liye mojood hai aur kis terhan nabuwat har zamane mein jari rehti hai .

Muhammad Shaikh ne un dono mozuaat ko Allah ki ayaat hi se dalail day kar saabit kya hai. ab yeh nazreen par munhasir hai ke woh is mubahisay ko ghhor se dekh kar khud faisla karen ke dono mein se kin ke dalail ziyada mantaqi aur wazni hain, is liye ye mubahisa dekhna laazmi hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.